Tuesday 9 September 2014

Love And Sad Shayari Hindi Sad Shayari For Love Hindi In English Wallpapers on Life PIcs Images Photos

Love And Sad Shayari Biography

source(google.com.pk)

Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Banjata Hai;
Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Banjata Hai;
Kuch Log Zindagi Me Milte Hain Aise;
Jinse Kabhi Na Tutnewala Rishta Banjata Hai!

Yaadon Ki Dhundh Me Aapki Parchaai Si Lagti Hai;
Kaano Me Goonjti Shahnaai Si Lagti Hai;
Aap Kareeb Hai To Apnapan Hai;
Varna Seene Me Saans Bhi Paraai Si Lagti Hai!

Aatish-E-Ishq Main Jal Jaon Tujhey Is Say Kiya;
Mousam Ki Tarah Badal Jaon Tujhey Is Say Kiya;

Chot Khaon Ya Zakham Lagay, Ya Ahsas-E-Ghum Mein Tarpon;
Mein Gir Jaon Ya Sanbhal Jaon Tujhey Is Say Kiya;

Mussartaon Ko Daikh Ker Bay Qarar Ho Jaon;
Ya Tofan-E-Ghum Say Behal Jaon, Tujhey Is Say Kiya;

Hansta Daikh Ker Hans Paron, Rota Daikh Ker Ro Paron;
Halat K Sanchay Mein Dhal Jaon, Tujhey Is Say Kiya;

Zararot Nahin Ab Kisi Hamsafar Ki Saaqi;
Janib-E-Manzil Tanha Nikal Jaon, Tujhey Is Say Kiya!

Baatein Karke Rula Na Dijiyega;
Yoon Chup Rehke Saza Na Dijiyega;
Na De Sake Khushi,To Gam Hi Sahi;
Par Dost Bana Ke Uhi Bhula Na Dijiyega!

Ruthi Hui Aankhon Mein Intezar Hota Hai;
Na Chahte Hue Bhi Pyar Hota Hai;
Kyun Dekhte Hain Hum Wo Sapne;
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intezar Hota Hai!

Dil Jeet Le Woh Jigar Hum Rakhte Hai;
Katal Kar De Woh Nazar Rakhte Hai;
Wada Kiya Hai Kisi Se Hamesa Muskurane Ka;
Warana Hum Bhi Ankhon Mai Samunder Rakthe Hai!

Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na;
Aaj Mujh Pe Inayat Ker Do Na;

Zara Chupkey Se Khamoshi Se;
Tum Izhar-E-Mohabbat Ker Do Na;

Khud Ko Ker K Deewana Sa;
Mera Pyaar Amar Tum Ker Do Na;

Main Pyaas Mein Duuba Sehra Hoon;
Tum Mujh Ko Samandar Ker Do Na;

Main Yun Hi Phirta Hoon Dar-Ba-Dar;
Tum Khud Ko Manzil Ker Do Na !

Jaane Kyu Log Hamhe Aajmate Hai;
Kuch Pal Sath Rahne Ke Baad Dur Chale Jate Hai;
Sach Hi Kahte Hai Log Ki Sagar Ke Milne Ke Baad;
Log Barish Ko Bhul Jate Hai!

Tanhaiyon Mein Muskurana Ishq Hai;
Ek Baat Ko Sab Se Chhupana Ishq Hai;
Yun To Neend Nahi Aati Hamein Raat Bhar;
Magar Sote Sote Jagna Or Jagte Jagte Sona Hi Ishq Hai!

Pathar Ki Hai Duniya Jajbaat Nahi Samajhti;
Dil Mein Kya Hai Vo Baat Nahi Samajhti;
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaron Ke Beech;
Par Chand Ka Dard Vo Raat Nahi Samajhti!

Kamyabi Kabhi Badi Nahi Hoti;
Pane Wale Hamesha Bade Hote Hai;
Darar Kabhi Badi Nahi Hoti;
Bharne Wale Hamesha Bade Hote Hai;
Itihaas Ke Har Panne Par Likha Hai;
Dosti Kabhi Badi Nahi Hoti;
Nibhane Wale Hamesha Bade Hote Hai!

Hans Ke Farmaate Hai Woh, Dekh Ke Haalat Meri;
Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri;

Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri;
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri;

Main Ne Aaghosh-E-Tasawur Mein Bhi Kheincha Tau Kaha;
Pis Gai, Pis Gai Be Dard, Nazaakat Meri;

Yaar Pahlu Mein Hai, Tanhaai Hai, Kahdo Nikle;
Aaj Kyon Dil Mein Chhipi Baithi Hai Hasrat Meri;

Aaeena Subah-E-Shab-E-Wasl Jo Dekha Tau Kaha;
Dekh Zaalim, Yehi Thi Shaam Ko Surat Meri;

Husan Aur Ishq Hum-Aaghosh Nazar Aa Jaate;
Teri Taswir Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri;

Kis Dhitaai Se Who Dil Chheen Ke Kahte Hai, Amir;
Who Mera Ghar Har, Rahe Jis Mein Mohabbat Meri!

Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaza Hua;
Jab Jab Use Dekha Dil Ka Dard Taza Hua;
Suni Thi Sirf Gazal Mein Judai Ki Batein;
Ab Khud Par Biti Toh Haqiqat Ka Andaza Hua!

Apni Takleef Mei Mujhe Umeed Samajhna;
Koi Gam Aaye To Apne Najdeek Samajhna;
De Saku Hasi Us Ansu Ke Badle To;
Hajaro Ke Bech Mujhe Sabse Kareeb Samjhna!

Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badte;
Dur Hone Se Dosti Ke Ehsaas Nahi Marte;
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Bech;
Par Koi Pal Nahi Jab Aapko Hum Yaad Nahi Karte!

Ban Kar Ehsas Meri Dhadkan Ke Pass Rehte Ho;
Tasvir Ban Kar Meri Ankhon Ke Pass Rehte Ho;
Puchna Hai Bas Ek Sawal;
Humse Dur Hokar Kya Aap Bhi Udaas Rehte Ho!

Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi;
Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi;

Tu Mujhe Or Mai Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar;
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi,  Mai Bhi Nahi;

Galat Fahmiyon Ne Kar Di Dono Mai Paida Dooriyan;
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi,  Mai Bhi Nahi!

Kuch Iss Tarah Sauda Kiya Waqt Ne;
Tajurba De Kar Woh Meri Nadani Le Gya!

Palko Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi;
Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi;
Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho;
Hum Hai Ki Ek Umar Se Soye Hi Nahi!

No comments:

Post a Comment